hkbcool (User)
Expert Boarder
Posts: 3764
|
|
Re: Do you CLAIM you ARE GOD or SOMETHING? 1 Year, 9 Months ago
|
Karma: 0  
|
|
haan yaar mainay Eyes ko invite kia hay lekin tu abhi kuch nahin bolay gaa mainay usay PM kia hay aur kaha hay kay agar usnay kuch pehlay kaha to usay apologize karna parega.........agar tujhay kisi nay bura kaha hay to usay bhi kaha hay......mainay kabhi kisi aik ki side nahin lee........lekin yaar baat had say zyada barhti ja rahi hay.........hum logoon ko dekh kar fuzool ki discussion main aur bhi log kood jatay hain.......aur saath main apnay dost bhi shrow ho jatay hain........koi nahin jab bhi woh ayega Insha Allah koi hal nikal aayega......kyunkay yaar main to bara fed up hogaya hoon aur doosray log bhi hamari kuch harkatoon say tang hain.......baqi ab time hay revolution ka, kuch karkay dikhanay ka Insha Allah hum kamyaad ho jayengay........"Rang day basanti Bhia"........
AUr rahi baat Moni ki........to woh sain aadmi hay........ha ha ha ha .........jaisay bachay ghallay main paisay jama kartay hain aur yeh koshis kartay hain kay unhain paisay yaad na rahain takay achay paisay hoon lekin unki anthak mehnat kay baad bhi unhain apni chawwanni ka bhi hisaab zabani yaad hota hay........ha ha ha
iska bhi yeh hi haal hay........yeh zehni tension main hay.....ha ha ha ab to sotay main bhi typing karta hoga.........
ha ha ha ha ha ha ha ha ha ha
Sain........ha ha ha ha
|
|
|
|
|
|
|
The administrator has disabled public write access. |
fantoos (User)
Junior Boarder
Posts: 332
|
|
Re: Do you CLAIM you ARE GOD or SOMETHING? 1 Year, 9 Months ago
|
Karma: 0  
|
|
Kal main aik Desi American forum per register kawarkar intro kara raha tha whan mujhay aik banda pehchaan gaya kay aap tu AK per hotay hain main nain kaha haan tu ussnain kaha phir tu aapki gaaliyoon kee adat hogee kyonkay waha tu gaaliyaan hee dee jatee hain..ussnain kaha abhi check kar lain main gaya aur dikha tu..topic samnay chamak raha tha.."fallan kuttay ka baccha hay"
AK ab mukamal tur per badnaam ho chuka hay jab aik NY main baitha desi jaanta hay tu phir kiya reh gaya.
Ye sirif aur sirf Admin ya Moderator hee masala hal kar skata hay. Woh kisi id ko nahin balkay IP address trace karay aur uss ko block karay warna woh shaks dubara dossri Id bana kar aa jaye ga.. her forum per yehee hota..koi yeh sub abuse bardaasht nahin karta.
Aur HKB bahi aap say aik request hay aapko bura lagay ga laikin phir bhi keh daita hoon..Sherry bilkul sahee keh raha hay..woh Eyes hee hay... aap hee waahid ho AK per jo ussay reply karatay ho..plz ussko ignore karo..woh thoday din main khud hee bhaag jaye ga.. jab ussko koi lift nahin milay gee..
abhi daikh lu mairay post Shia /Sunni per imam_haq kay naam say ussnain Eyes walli post quote kee hay..kisi post main nain bura bhala kaha Eyes ko mirchi lagi imam-Haq ko..Aik hee banda hay.. aur ab yeh gaaliyoon per uttar aaya hay.
ilaaj main usska akila hee kar sakta hoon..laikin hacking or tracing IP yahan USA main crime hay and I won't do it.
Woh aik pagal psycho or jaahil aadmi hay jo aik middle age shadi shuda hay..apni jahalat kee wajah say AK per woh apni sahee jaga bana nahin pa raha tu jealousy main Sherry ya dosray members kay peechay parr jata hay.
I hope HKB aap ko meree batain buree bhi nahin lagee hongee aur thoda hint bhi mila hoga kay yeh sub kar kon raha hay.
JM
|
|
|
|
|
|
|
The administrator has disabled public write access. |
|
|
|
Re: Do you CLAIM you ARE GOD or SOMETHING? 1 Year, 9 Months ago
|
Karma: 0  
|
|
jazba2 wrote: sure , i have proof that he started it on a post and you can check it " J2 my buddy " this is just to let you know that whos started. yaar meri 4000 post hai ..... me koe doodh peta bacha thori hon k khama khai me uljhon ga . sure i would stop it but i hv told you above that wat i need. any way. abay MQM laga howa hai AK k modirator , pata nhi kia zafar bahi naam hai uska ...... kehta hai k direct baat kar k 10,000 post karwani hai ..... ha ha ha abay ham kia pagal hain k itni sari post kar k apne nos barha rahay hain ..... ha ha ha .... abay MQM ...... dil pe na lay yaar .... tu jigar hai apna .... la apna passward day .... teri id say b me itni post maronga k 5000 ho jayen gi ..... ha haah
Abey GhuchooN Bhai Ke Mar Raha Hai Tu,.,.,,,Piteh Ga....
Ha Ha Ha Ha....
Aur Sub Yaar Kidar Hai Msn Peh A KaaM Ke Baat Hai...
|
|
|
|
|
|
|
The administrator has disabled public write access. |
hkbcool (User)
Expert Boarder
Posts: 3764
|
|
Re: Do you CLAIM you ARE GOD or SOMETHING? 1 Year, 9 Months ago
|
Karma: 0  
|
|
Salam Fantoos yeh to acha ho gaya kay tum bhi aagaye yaar main chahtay huay bhi kuch nahin kar sakta ........lekin koshish to kar sakta hoon ab dekh loo kia izzat reh gai Ak ki kay itna notorious ho gaya hay States main bhi......khair yaar mujhay yeh nahin kehna kay kaun ghalat hay aur kaun sahi .........mainay pehlay bhi kaha na kay agar Eyes nay pehlay shrowat ki hay to usay apologize karna parega......Sherry is a brave man usnay admit bhi kia kay jo usnay kaha ab bari hay Eyes ki kay woh kia kehta hay......bolnay ka haq sab ko hona chiyeh main maslay ka hal dhoond raha hoon usay uljhanay ki koshis nahin kar raha.....
aur yeh kehan bilkul ghalat hoga kay moderator ko hi sub kuch karna hay.....woh to nahin member AK ka, members to hum hain hum nay hi karna hay......tumhari baat ka bara acha jawab hay......tumharay topics bohat achay hotay hain ziyada ter society aur usmain mojood buriyaoon per hotay hain, ab Shia Sunni hi dekh lo, agar tum yeh sab feel kartay ho kay hamain change lana chiyeh to yaar yeh bhi phir moderator ka job nahin hay is main bhi hamain hi kuch steps uthanay hongay........ham aisay hath per hath rakh kar nahin beth saktay warna to phir hum yeh keh kay haath kharay kar detay hain kay yaar yeh society ki buraiyoon ko society chalanay walay hi khatam karain ismain hum kyun ghusain right.......kia yeh hay tumharay kehnay ka maqsad........phir to Fantoos tumharay topics bhi bekaar hain tum kyun tension letay ho chor do sub apnay aap ho jayegaa.....
aur yaar main mind kyun karoonga........dekho jo meray saath acha raha main usko bura kyun kahoonga woh sherry ho, tum ho, AAR ho ya phir Eyes ho...
|
|
|
|
|
|
|
The administrator has disabled public write access. |
fantoos (User)
Junior Boarder
Posts: 332
|
|
Re: Do you CLAIM you ARE GOD or SOMETHING? 1 Year, 9 Months ago
|
Karma: 0  
|
|
Chalo aap ki baat hum bhi maantay hain aap jo bhi koshish kar rahay ho hum bhi hain aapkay saath..Mujhay umeed tu nahin laikin aap mujhay mallom hay apni mukhlisana koshish kar rahay ho tu InshaALLAH ye masala hal hoga.
Ab hum aapko iss muamlay ka Ameer ya Incharge banatay hain..aapko jiss kism ka saath chayea hum hazir hain.
JM
|
|
|
|
|
|
|
The administrator has disabled public write access. |
hkbcool (User)
Expert Boarder
Posts: 3764
|
|
Re: Do you CLAIM you ARE GOD or SOMETHING? 1 Year, 9 Months ago
|
Karma: 0  
|
|
shukriay fantoos .......lekin yaar main akela to nahin kar sakta tum logoon ki help chiyeh hogi aur un sab members ki jo kay regular hain........aur yaar yahan koi incharge bananay ki baat nahin hay........tum bhi isko aagay barha saktay ho aur woh to tum pehlay say lagay ho behtari lanay kay liyeh........abhi to filhaal itna karna hoga kay koi ghalat post per reply na karain.......aur Eyes ko bhi aanay dain.....
|
|
|
|
|
|
|
The administrator has disabled public write access. |
|