|
Ramzan (Ramadhan) aa rahay hain... Sub khush hain.... Barktoon, Rehmat aur Maghfirat ka Maheena..Shayateen qaid ho jaaingay..Ibadaa ka maheena….Haisiyat na hotay hoey bhi Pakwaan aur Khawaan ka maheena..Iftaar Parties ka maheena.. Ziayada Sawab kay liye Paanch Sitaray Walley Hotels main Iftaar dinner ka ahtemaam walla maheena.. Saudi Arab Umray Kay liye best time ka meheena….10 Din 15 din 20 din main Taraweeh Mukanay walla maheena..TV per Ramzan… Akhbar main Ramzan..Phir 5 Din baad hee Eid kee shopping ka Maheena.. Phir Chand raat main Firing karnay wallah Maheena… Issi Maheenay Kay Baad Eid per manoon kay hisaab say Mithai kharidnay walla maheena... Phir Eid hogee aur naye kapray mehndiyaan choriyaan.. hala gula..Khusiyaan…..
Main nain last year aik story paree thee kay aik shaks nain apni biwi aur 2 massom bacchay kay galay per churri phairee aur phir khud ko bhi maar diya..
Time Eid ka tha laikin Bakra Eid..Yeh tu aik kahani hay ju zehn main reh gayee hay..aur najanay kitni aisee kaufnaak sotries hongee..ju agar zehn main reh jaain tu aadmi zindagi bahr na so paaye.. jis mulk kay sirif 2 shaher liye jaain tu aik shahe
Lahore main 10 laakh, Karachi main 15 laakh jaanwar qurban kiye gaye thay . If we multiply only these two cities animals with average Rs 6000 than total will be 350 Million Dollars..imagine if we add other cities of Pakistan than where would be the total and we just using average Rs 6000 which is minimum... people buy animals upto 5 Laakh tak.....
Aur iss mulk main aik Shaks aisa bhi tha jis kay bacchay Eid wallay din cheetroon main thay..jis kay ghar Eid wallay din Faqa tha..jis nain maangnain kay bajaye maut ko tajeeh dee..
Hum sub Shab-e-Barat, Ramzan, Eid, Bakra Eid tu baray ahtimaam say manatay hain laikin yaad rahay hamaray hissab bhi ALLAH kay paas jaatay hain aur hum sub ki wahan Qatal kee F.I.R kati hogee sub say phelay tu un tamaam qatal kee jo hum jaantay hain.. jo sirif aatay daal aur ghost kee wajah say hoey hain.. aur saath unkay naam ki bhi kati hogee jin ka hum nain nahin sunna ya daikha laikin iss wajah say kay hum nain maloom karnay kee koshish nahin kee…
Ramdhan sirif TV per mazhabi program daikhna..Khud ka sirif roza rakhna..aik dosray ko batana kay falaan nain kitnay rozay rakhay ya aaj iftaar party karni hay, Topi pehnain ka, Darrih rakhnain ka, Loud speaker per naatein ya Tilawat karnay ka maheena nahin ..
Please look around in this Ramadhan..Yeh khusiyaan dainay aur bantnain ka maheena hay unkay liye who deosn’t have enough to eat..who would not have money to buy new clothes for their masoom children who got same hope and dreams in their eyes like our children.
That is my way of thinking
JM
|