thefire1 (User)
Junior Boarder
Posts: 392
|
|
Re:Mashoor Kalam Kar 1 Year ago
|
Karma: 4  
|
Kia Khoobsuar topic aur itnay achay andaz... muhay bhi kuch yaad aaraha hay socha yahin qalamband kardoon! 
Aik dafa Mirza Ghalib ko kisi Haseena say mohabbat hojaati hay, woh haseena, jawaan, khoobsurat, dilkash, aur Ghalib sahab rahay zaeef aur natawaana... Ghalib sahab daily uss dosheeza kay ghar kay bahar ussay takttay rehtay, aik din haseena ko ghusa aagaya aur dhaR say darwaaza unkay cheray pay day maara.. Ghalib sahab ko larki ki iss harkay per bohat ghussa aaya aur aalam-e-taaish main hosh-o-hawaas ganwa baithan aur larki ki dehleez per kharay pishaab karna shuroo kardia, aas paas logon nay jab yeh maajra dekha tou foran Ghalib sahab kay paas gayay aur unhain kahan kay janab aap jaisa umar raseeda insaan iss tarhan ki harkat karay thik baat nahin aap ko sharm aani chayeh. logon ki baatain sun kar ghalib sahab kay hosh-o-hawas barqarar huway aur socha kay waqayi mujh say yeh bohay ghalat kaam hogaya hay ab kia karoon, yeh sochtay hi unhon nay jhat say yeh shaair keh daala...!!!
Itnay Ghamgheen Hain Unkay Pyar Main Ghalib..! K Ansoo Nikal Rahay Hain, Rastay Badal Badal K
|
|