Apnakarachi Submissions
SHAYAD KABHI MILO TUM
- Owner
- kanwal_6
- Hits
- 176
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-08-19 04:52:21
Ik weham tha ye dil mein
Shayad kabhi milo tum
Kuch der ruk ke puchon
Beete dinon ka mosam
Awaz mein ho larzish
Aankhon mein ik tajassus
Mazi ka koi lamha
Shayad atak gaya ho
Sub bhool ke bhi shayad
Kuch yaad aa gaya ho
Phir main tumhain bataon
Apni khushi ki baatain
Har dukh chupa ke dil mein
Aasudgi ki baatain
Wo chaand chaudween ka
Taaron bhari wo raatain
Wo payaar ka tasaawur
Aur bandagi ki baatain
Woh roz roz marna
Aur zindagi ki baatain
Tum dekh ke muskurao
Aur dheere se paas aao
Phir mein bhi muskuraon
Aur dil ke diay bujhaon
Lehraon apne jee main
Ik talkh si haqeeqat
Ik khawab zindagi ka
Haan omer bhar jo dekha
Kabhi ho saka na pura
Yun hi reh gaya adhoora


Submissions