No account yet?
Wednesday, 07 January 2009

Search

Apnakarachi Submissions

Jumay Ke 7 Aamaal

Owner
caisili
Hits
999
Rating
0.00
Created
2007-01-05 18:42:56
Jumay Ke 7 AamaalHadees Mein Hay Ke Jo Jumay Ke Din 7 Aamaal Karle Us Ko Masjid Jaate Hue Har Qadam Per Aik Saal Ki Nafli Namazun Ka Sawab Milega Or Aik Saal Ke Nafli Rozun Ka Sawab Milega.(Ibne Maja, Tirmizi, Nisai Or Abu Dawood)
1.Ghusul Karna 2.Achay Kapray Pehan Na3.Masjid Jane Ki Fikar Karna4.Masjid Paidal Jana5.Imam Ke Qareeb Baithnay Ki Koshish Karna6.Khutba Ghor Se Sun Na 7.Koi Behooda Laghoo Kaam Na KarnaUs Ke ilawa Nikah Jumay Ke Din Asr Ke Baad Karna Sunnat Hay Or Agar Shawaal Ka Month ho tu Double Sawab Kyun ke Hazrat-e-Ayesha Razi Allah Tala Anha Farmati hein k musalmano Apni Shaadi Shawaal Ke Month mein kia karo.Us ke ilawa Janaza Ho tu Jumay ki namaz se pehlay parhoo.Hadees mein hay ke aik rivayat mein hay k aglay jumay tak or aik mein hay k qayamat tak Maghfirat hojati hay agr jumay ki namaz se pehlay dafnaya .Awam mein ye baat mashoor hay k log ziyada hongay jumay ki namaz mein isi liye hum jumay ki namaz k baad janaza parhwate hein jo ke bilkul ghalat cheez chal pari hay. Or Ulama ne likha hay k Jumay ki namaz se pehlay sirf 4 admi bhi houn tu hazarun namazi jumay ke se wo 4 afzal hein jin hun ne Sunnat Ada ki hay.Us Ke ilawa Jumay Ko Kisi ka inteqal hojaye yaani kisi ka Thursday ki maghrib k baad inteqal hua maghrib ke baad doosra din shuroo hojata hay tu wo shab jumay hi ki hay or murday ko jald se jald dafnane ko kaha gaya hay hadees mein or murday ko Baraf Khaane Rakhna Gunah-e-Kabeera Hay. 2 Hours tak aik qabar khoodne mein time lagta hay. hamare han jab koi marjata hay tu aik aik or do do din tak murday ko baraf khaanay mein rakha jata hay ko ke ghalat hay.Islam mein iski koi gunjaish nahi hay, Hadees mein hay ke "Agar wo naik hay tu usko achi jaghan jane se rokte ho Or Agr Bura hay tu apne paas rakhte ho".or kisi ka wait karne ki zarorat nahi hay ! hamare han tu Allah maaf kare doosray city se falan a raha hay falahn country se falan araha hay ke uska chehra dekhlun abhi dafna na nahi sab beqaar kaam hein bas sab tayari hogai qabar khud gai kafan dafan ka intezam hogaya tu bas phir dair nahi karni chahiye or ulama me is ki misaal aisi di hay k jab kisi ko hadsa hojaye masalann kisi ka sir phatt jaye ya koi emergency hojaye tu unko forran hospital ilaj k liye le jate hein ! lekin Us Shaks ke saath tu itna bara hadsa hua hay moat ka tu usko Khilona banadete hein Awam !
Or Qabar mein phool daal na Arq-e-Gulaab ka Paani Daalna Agar Batii jalana Sab Fazoool Kaam Deen mein izafa or Biddatt hay Yahan Tak ke Photo khaichna bhi dekha gaya hay murday ki qabar mein rakhte hue jo ke gunahe kabeera hay iska kahein saboot nahi hay.Or Mayyat per white Chaadar honi chahiye hamare han Black Chaadar ka concept pata nahi kahan se chal para hay or us mein qurani ayat likhein hoti hien jis ki be adbi horahi hoti hay kabhi chaadar idhar kabhi udhar poun k paas sirak jati hay ye be adbi nahi tu or kia hay sirf palne white chaadar honi chahiye.
Or Qabar ko Paka Karna bhi ghalat hay kyun k pakki qabar per 40 saal tak rehmat ka qatra nahi girta or log tiles or pata nahi kia kiya karwate hein qabar ke saath.sunnat tareeqa kachi mitti mein dafan hona hay bas.Aap Sallalaho Alaihwasallam ki qabar mubarak bhi kachi mithi wali hay. Or Soyem Teeja 10Waan Chaliswaan Chelam Barsi Urs Sab Be buniyad Deen mein izafa Or Biddat or Gunah hay islam mein iska kahein saboot nahi hay ! Bas seedhi seedhi quran khuwaani karlein pehlay din hi jab kisi ka inteqaal hua ho, awam 2 or 3din wait karti hay is taqreeb mein or aadmi waseehat kare ke mein jis jaghan Marun mujhey isi jaghan dafnaya jaye kyun ke ye sunnat tareeqa hay ! hamare han Sunnat ko chor kar log be-deeni ko ziyada tarjeeh dete hein ! Aadmi ki laash wapis apne city mangalete hein ! Ulama kehte hein Is Sunnat Waseehat Ke Badolat Maghfirat farmadein gay Allah inshallah, lehaza marne se pehlay in sab baatun ki waseehat ghar walun ko kardeni chahiye takee fazool ki rasamo se bacha jaye. Jo Fasaad Ke Dor Mein Meri Sunnat Zinda Karega Allah Usko 100 Shaheedun Ka Sawab Dein Gay (Hadees) Naqshe Qadam Nabi Ke Hein Janant Ke Raaste Allah  Se   Milate   Hein   Sunnat   Ke   Raaste

Add Your Article

Share your recent articles with others

>> Add Your Article

Add Your Joke

submit your laughtereous jokes at apnakarachi.com

>> Add your Joke

Add Your Poetry

Post your Poetry contributions here

>> Add your poetry

Add Your Recipe

share your delicious recipe now

>> Add Your Recipe

Karachi Sales

Sell your treasures at our Sale section to get the best price in town.

>> Karachi Sales

Highscoring Games

Try your luck on our online selection of games jo slow bandwidth per bhi chal jaingay!
>> Play Games

Karachi Shopping Centers

Find the nearest shopping centres from mobile malls to huge super-markets.

>> Karachi Shopping

Karachi Restaurants

List of famous Hotels, Restaurants and franchises.

>> Karachi Restaurants