Apnakarachi Submissions
ISLAMIC REPUCLIC OF PAKISTAN
- Owner
- itsmebangash
- Hits
- 474
- Rating
- 0.00
- Created
- 2007-08-14 01:18:58
Mgr afsoos k aaj tak Pakistan ko koi aesa leder ya syasatdan nahi mila jo yahan islami qawaneen nafiz karsay aur agr kisi ne koshish ki to uska moon band kardya gya aur ussi ko nishan e ibrat bana dyas gya. Mgr baat yahan aakar khatam nahi hoti aaj kal har koi yahi shikwa shikayat karta phirta hai k is mulk ne humain ghareebi ,berozgari aur masail k illawah kuch nahi dia mgr aaj qaid e azam ki rooh hum sab se pochti hai k tumne mulk ko kia dia hai ? akhir kyun police, bijli , adlia ,bank and sehat jaisay aeham shobay sabse zyada croupt hain balkay shayad hi koi aesa shoba ho jo croupt na ho aaj kal har koi insaniat ko bhula kar paisay k pichay para hua hai . mgr wohi baat k hum kabtak sirf tanz o tanked kartai rahain gai akhir hum main se koi aagay kyun nahi aata yejo croupt adaroon main log kam kar rahai hain ya jo hamaray syasatdanhain wo bhi to issi mulk k rehnay walay hain humhi main se aik hain agr hum unko bura bhala kehtay hain aur samajhtay hain k wo sahi kam nahi kar rahai hain to hum khud kyun nahi aagay bartai hain maslan hummain say har kisi ko police se shikayat hai mgr kia hum main say ko police main jana pasand karaiga kia koi politic main aakar mulk k halat sahi karnay ki koshish karayga yakenan kabhi nahi hum main se har koi aram ki zindagi guzarna chahta hai kisi ko kisi ki koi parwa nahi hai yahi behisi hai jo hum ko barsoon ki ghulamana soch se abhi tak azad nahi karsaki hai hum apni dunya main aesay mast hain k humain apnay mulk ki koi khabar nahi hai yahan cj insaf mangta phirta hai is mulk main agr koi ye kahay ki islami nizam nafiz karo to masjid o madarsay ko bhi nahi chorajata sarhad k illakay main hazaroon logon ko deshatgard keh kar mardia jata hai mgr hum tasss e mass nahi hotay had to ye k jis mulk ne shetan rushdi ko sir ka khitab dya ussi mulk main humne nach ganay k sath sabse pehlah apna youm e azadi manaya hukumranoo ko pata hai k hum kuch bhi karlain awam kuch nahi karaigi bus chup chap tv pe tamasha dekhti rahaigi hamari issi busdili ko dekh kar dushman ne hamaray mulk pe hamloon k illawa mukaddas mukamat per bhi khul kar dhamki di hai mgr hum hasbai mamool chup hain aakhir hum khuwab e ghaflat se kab jagain gai aur apni zimain darian samjhain gai ? aaj humko ye to pata hoga k konsi film aarahi hai , konsa gana aaraha hai mgr ye nahi pata hoga k hamaray mulk ki tareekh kia hai hamaray aslai heros allama iqbal , sir syed , molana mohammad ali johar aur quid e azam k baray main humko kuch nahi pata hoga . akhir hum itnay behis kabse hogai k 14 ko lagai hui jhandyain zameen pe pari hui hoti hai aur hum unko rondte huay jarahai hotay hain hum apnay taranay ki izza o qadar nahi kartai . quid e azam ne farmaya hai k ? maine tumharay mulk ki buyad rakhdi hai abye tuhari zimaydari hai k tum isko banao aur jaldi aur acha banao ? apni takreer ka ikhtetam allama iqbal k is shair pe karonga
Bazo tera tauheed ki kuwat se qawi hai
Islam tera des hai tu mustafwi hai
Na tu zameen k liay hai na aasman k liay
Jahan hai tere liay ? tu nahi jahan k liay
