Apnakarachi Submissions
Ganay Ki Hurmat Per Qurani Ayat Or Ahadees
- Owner
- fizamuskan
- Hits
- 1339
- Rating
- 0.00
- Created
- 2007-08-28 01:55:19
Dalaail-e-Hurmat:-
AYAT-E-QURANIYA:-
Surah Luqman Ayat No. 6
Translation:- Or Logun Mein Se Baaz Wo Hein Jo Ghaafil Karne Wali Baatun Ka Khareedaar Banta Hay Taake Allah Ki Raah Se Be-Samjhay Boojhay Gumrah Kare Or Uski Hansi Uraaye, Aisay Logun Ko Zillat Ka Azaab Hay (Surah Luqman Ayat No.6)
Tashreeh:- Hazrat Abdullah Bin Masood, Hazrat Abdullah Bin Abbaass, Hassan Bassri Or Baaz Deegar Sahaba Or Tabaeen Razi Allah Anhum Se Manqool Hay Ke Is Ayat Mein "Lah Wal Al-Hadees" Se Murad Gana Or Isi Qism Ki Cheezein Hein.Nazar Bin Harris Jo Ke Nabi Kareem Salallaho Alaihwasallam Ka Bad Tareen Dushman Tha, Faaras (Yani Iran) Ja Kar Laraiyun Or Pehailwano Ke Qissay Khareed Kar Lata Or Makkah Mukarrama Mein Logun Ko Jama Kar Ke Suna Ta Or Saath Ye Kehta Ke " Paighamber Tumhein Aad Or Samood Ke Qissay Sunate Hein, Mein Tumhein Rustam Or Asfand Yar Ke Qissay Suna Ta Hun". Log Bari Raghbat Or Dilchaspi Se Ye Qissay Sunte Thay, Aik Dafa Gaanay Wali Aik Loundi Khareed Kar Laya Or Jis Shaks Ko Bhi Islam Ki Taraf Maail Hote Hue Dekhta Tu Ussay Apne Ghar Le Jar Kar Khaana Khilata Or Gaana Sunwata Tha Or Us Se Poochta "Batao Maza Or Dil Laggi Gaanay Mein Hay Ya Quran Mein " ! Naozobillah!Us Ka Maqsad Sirf Yahi Tha Ke Log Qissay Kahaaniyun Or Gaanay Bajaane Mein Lag Kar Qurani Hidayaat Or Taleemaat Se Dil Bardashta Hun, Ye Ayat Isi Shaks Ke Baray Mein Naazil Hui !
Shareeyat Ne Har Us Cheez ko Najaiz Qaraar Diya Hay Jo Allah Tala Ki Ibaadat Se Ghaafil Karde, Khuaa, Wo Gaana Bajaana Ho Ya Draamay Qissay Or Deegar Khurraafaat HunYe Dushmanaan-e-Islam Ki Wo Thandi Talwaar Hay Jisko Unhun Ne Hamesha Islam Ko Mitaane Or Musalmano Ko Tabah Karne Ke Liye Istemaal Kia Hay. Aaj Kal TV, VCR, Dish Or Cable Waghaira Ke Zariye Filmein, Fahash Draamay, Naach Gaanay Or Chori, Dakkaiti Or Qatal-o-Ghaarat Garri Ke Prograam Dikha Kar Ye Maqsad Haasil Kia Ja Raha Hay.!
Imam Ibn-e-Kaseer Ramatullah Alaih Is Ayat Ki Tafseer Mein Farmaate Hein:-
Hazrat Abdullah Ibn-e-Masood Razi Allah Anho Ne 3 Baar Qasam Utha Kar Farmaya "Lah Wal Al-Hadees" Se Muraad Gaana Bajana Hay. (Tafseer Ibn-e-Kaseer, Page 457, Jidl 3)
Hazrat Ibn-e-Abbaass-o-Jaabir Razi Allah Tala Anhuma Or Hazrat Ikrama, Saeed Bin Jubair, Mujahid, Makhook, Umar-o-Bin Shoaib Or Ali Bin Bazeema Rahemullah Tala Se Bhi Is Ayat Ki Yehi Tafseer Mankool Hay.Or Hazrat Hasan Basri Rehmatullah Alaih Farmaate Hein "ye Ayaat Gaanay Or Raag Baajun Ke Mutaliq Utri Hay." Yehi Tafseer Qurtubi Page 51, Jild 14, Baghwi Page 407, Jild 4, Khaazan Page 468, Jild 3, Madarak Bhaamash Khaazan Page 468, Jild 3, Mazhari Page 246, Jild 7, Waghairah Mein Mufassil Markooz Hay.
Or Phislaa Le In Mein Se Jis Ko Too Phissla Sake Apni Awaaz Se." (Ayat 64 - 17)
Is Ayat Mein Shaitaani Awaz Se Gaana Bajana Muraad Hay. Imam Mujahid Rehmatullah Alaih Farmate Hein Ke "Is Ka Matlab Ye Hay Ke (Aye Iblees!)! Too Unhein Khail Tamashun Or Gaanay Bajaane Ke Saath Maghloob Kar.Or Hazrat Ibn-e-Abbaass Razi Allah Anho Farmate Hein Ke " Is Ayat Mein Har Wo Aawaaz Muraad Hay Jo Allah Tala Ki Naafarmani Ki Taraf Dawat Day, Yehi Qaol Hazrat Qatadah Rehmatullah Alaih Ka Hay Or Isi Ko Ibn-e-Rehmatullah Ne Ikhteyaar Kiya Farmaaya Hay." (Tafseer Ibn-e-Kaseer Page 50, Jild 3)
Or Sab Ko Maloom Hay Ke Maaseeyat Ki Taraf Dawat Dene Walun Mein Gaana Bajaana Sab Se Barh Kar Hay Isi Waja Se "Shaitaan Ki Awaz" Ki Tafseer Isi Ke Saath Ki Gai. (Ighsatul Al-Haffaan Page 255, Jild 1)
GAANAY BAJAANE KI HURMAT PER AHADEES :-
1.Meri Ummat Mein Kuch Log Kuch Paida Hongay Jo Zina, Raisham, Sharaab Or Raag Baajun Ko Halaal Qaraar Dein Gay. (Sahi Bukhari)
2.Meri Ummat Ke Kuch Log Sharaab Piyein Gay Magr Uska Naam Badal Kar, Unki Majlisein Raag Baajun Or Gane Wali Ortun Se Garam Hongi, Allah Unhein Zameen Mein Dhansa Day Ga Or Un Mein Se Baaz Ko Bandar Or Khinzeer Bana Dega. (Abu Daood Shareef, Ibne Maja Shareef, Ibne Habban Shareef)
3.Nafay Rematullah Alaih Farmate Hein Ke Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allah Anho Ko Rah Chalte Aik Gurriye Ki Baansri Ki Awaz Sunai Di Tu Kano Mein Ungliyan Thoons Li Or Raaste Se Aik Taraf Hat Kar Chalne Lage Or Mujh Se Bar Bar Poochte: " Kiya Baansri Ki Awaz Tumhein Sunai Day Rahi Hay"?. Mein Jawab Deta Ji Haan! Isi Tarhan Ungliyan Kano Mein Diye Chalte Rahe, Hatta Ke Mein Ne Kaha:"Ab Awaz Nahi Arahi". Tab Ungliyan Kano Se Hataein Or Raasta Chalne Lage, Phir Farmaya, Aik Roz Aap Salallaho Alaihwasallam Ke Saath Bhi Baeena Yehi Waqia Paish Aya Tu Aap Salallaho Alaihwasallam Ne Bhi Kano Mein Ungliyan Day Li Or Yehi Amal Farmaya. (Ahmad, Abu Daood Shareef, Ibne Maja Shareef)
4.Is Ummat Per Ye Afatein Aaein Gi:- Zameen Mein Dhansna, Shaklun Ka Masakh Hona Or Phatarun Ki Baarish. Aik Sahabi Ne Dariyaft Kia, Ya Rasool Allah ! Ye Kab Hoga? Aap Salallaho Alaihwasallam Ne Irshaad Farmaya:"Jab Ganay Wali Ortun Or Raag Baajun Ka Dor Dora Hoga Or Sar-e-Aam Sharaab Noshi Hogi." (Jam-e-Tirmizi Shareef)
5.Mujhey Allah Ne Momineen Ke Liye Hidayat-o-Rehmat Bana Kar Maboos Farmaya Hay Or Baajay Shirkiya Taweez Gannday, Saleeb Or Zamana-e-Jahiliyat Ke Ghalat Kamo Ke Mitane Ka Hukum Farmaya Hay. (Ahmad, Abu Daood Shareef, Al-Tiyaalsi)
6.Tabla, Sarangi Haraam Hein, Or Sharaab Ke Bartan Haraam Hein, Or Baajay Baansri Haraam Hein. (Masaddad, Baihqi, Bizaar)(Sharaab Ke Bartano Ki Hurmat Ka Hukum ibteda Mein Tha Jo Baad Mein Mansookh Hogaya)
7.Gana Bajaana Dil Mein Nifaaq Ugaata Hay Jaisa Ke Paani Sabzay Ko Ugaata Hay.(Abu Daood Shareef, Baihqi, ibn-e-Abi Al-Adduniya)
8.Jab Ganay Wali Ortun Or Raag Baajun Ka Zahoor Hoga Or Sharaabein Kasrat Se Pi Jayein Or Is Ummat Ke Aakhri Log Pehlay Zamanay Ke Logun Per Lanat-o-Malaamat Karne Lagein Tu Aisay Waqt Mein In Azaabun Ka Intezar Karo!: Surkh Aandhiyan, Zalzalay, Zameen Mein Dhansna, Shakalun Ka Bigarna, Phatarun Ki Baarish Or Aisi Nishaniyan Jo Pay Dar Pay Is Tarhan Ayein Jaise Puraana Boseeda Haar Jis Ki Larri Toot Jaye Or Daanay Aik Aik Kar Ke Bikhar Jaein.(Jam-e-Tirmizi Shareef)
9.Jab Meri Ummat Ye 15 Kaam Ba-Kasrat Karne Lage Tu In Per Museebat Utray Gi Manjumla In Ke Aik Ye Ke Gaanay Wali Ortein Or Baajay Baansriyan Aam Hojaein.(Jam-e-Tirmizi Shareef)
10.Do Awazein Duniyan-o-Akhirat Mein Maloon Hein, Aik Gaanay Ke Saath Raag Baajun Ki Awaz, Doosri Museebat Ke Waqt Cheekhnay Chillaanay Wali Awaz. (Al-Bizar, Baihqi, Ibn-e-Mardoyah)
11.Mein Do Himaaqat Or Fisk-o-Fujoor Se Bharri Awaz Se Rokta Hun, Aik Laho-o-Loab Or Shaitaani Baajun Ke Saath Gaanay Wali Awaaz, Doosri Museebat Ke Waqt Chehray Peetnay Or Giraybaano Ko chaak Kar Ke Nohay Ki Awaaz.(Musannif Ibn-e--Abi Shaiba Page-393, Jild-3)
12.Ghannti Shaitaan Ke Baajay Hein.(Sahi Muslim, Sunan Ibi Daood)
13.Aakhir Zamaanay Mein Is Ummat Ke Kuch Log Bandarun Or Khinzeerun Ki Soorat Mein Masakh Kiye Jayein Gay.Sahaba Razi Allah Tala Anhum Ne Arz Kiya. " Ya Rasool Allah ! Kia Wo Is Baat Ki Gawahi Na Dein Gay Ke Allah Kie Siva Koi Maabood Nahi Or Aap Salallaho Alaihwasallam Allah Tala Ke Rasool Hein ". ? Aap Salallaho Alaihwasallam Ne Farmaya : " Kyun Nahi ! Balke Is Se Bhi Barh Kar Wo Rozay Rakhein Gay, Hajj Karein Gay Or Namaz Parhein Gay." Arz Kia Gaya "Phir Kis Sabab Se Ye Aazaab Hoga." ?Farmaaya ! "Raag Baajun Or Gaanay Wali Loundiyun Ka Shughal Ikhteyaar Karne Ke Sabab." (Musnad Ibn-e-Abi Ad-Duniya)
