Apnakarachi Submissions
Aik Sawal
- Owner
- humara_malik
- Hits
- 220
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-03-23 22:48:21
Main ne kafi likhny waloon ke khayalat ka bhi mutaliaa kiya lakin bary bary aalim loogon ki moti moti batain hum jaise kam akloon ko kum hi samajh mein aati hain. Kafi sooch bichar ke baad mein jis nateejy per pohanchi hoon wo hazir e khidmat hay. Ye mery nakis dimag ki raaye hay zaroori nahi ke tamam karaaeen iss se mutafiq hoon, lakin mein kisi ki dil aazari nahi chahti is liye kabhi bhi, koi bhi baat buri lagy to iss naacheez ko maaf farma dain.
Hann ji ! to sawal ye hay ke zindagi ki haqeeqat kiya hay? Main samajhti hoon zindagi aik aisa raasta hay jiss ke doono taraf hamari zarooriyat ke darakhat lagy howe hain aur iss raste ka khatma hamari maut per hi ho ga. Inn zarooriyaat ke darakhtoon mein hamare shareek e safar, daulat, shuhrat, izzat, hamary dost, dushman, tamam aasaishaat, mukhtalif mahfilein aur issi tarah ke be-shumar darakht shamil hain. Zindagi ke iss pur peech raste ko guzarney ke liye hamein jin ashiya ki zaroorat hoti hay wo hum inn darakhtoon se utaar leety hain. Wo tamam loog jo zindagi ki asal haqeeqat janty hain wo in darakhtoon se sirf utni hi ashiya utaartey hain jo un ke saman e safar per baar na guzrain. Lakin jo log apna saman e safar zaroorat se ziyada wazni ker leety hain un ka tamam safar be-aarami aur takleef mein guzarta hay.
Hum mein se kuch be-wakoof loog in hi darakhtoon ki thandak mein soony ki koshish kerty hain. In hi darakhtoon ko apni manzil samajh leety hain, jub ke manzil to maut ke alawa kuch bhi nahi. Iss bahas ke sath be-shumaar aur sawalat janam leety hain maslan, kiya hamara shareek e safar hamari manzil hay? Kiya hamari daulat? Kiya hamein milny wali izzat aur shuhrat? Kiya hamar e tamam dost ya dushman? Kiya zindagi ki aasaishaat hamari manzil ho sakti hain?
Koi bhi ze-hosh, ze-aqal ye baat samajh sakta hay ke in tamam ashiya ki ahmiyat to ho sakti hay mager is qadar nahi kiyoon ke ye tamam ashiya to fani hain. Humein apni zindagi ke liye ye tamam ashiya chahiye to hain mager aik tanasub mein, kiyoon ke kisi bhi cheez ki ziyad’ti nuksan-deh ho sakti hay.
Zindagi ki manzil koi fani cheez nahi ho sakti, iss liye in ashiya se utna hi lutf andooz hona chahiye jitni inn ki hesiyat hay. Allah Tala ne apny khaleefa insane ko iss duniya ki mudat puri kerny ke liye jo bhi naimatein di hain unn ko aarzi samajhty howe un se dil nahi lagana chahiye.
Hum Allah ke bandy hain aur aik din hamein uss ke hazoor hazir hona bhi hay aur har naimat ke istamaal ki tafseel bhi uss ke gosh guzar kerni hay, to kiyoon karain aisa kam ke baad mein shermindagi aur pashemani ho. Kiyoon na apni zindagi ko aish-oishrat ke garh ki bajaye aik kamra e imtehan samjhain. Be-shumar ashiya ki hirs o hawas insane ko manzil se door le jati hay. Iss liye hamein chahiye ke Allah tala ke rahm o karam ka yakeen rakhty howe uss se guzishta galtiyoon ki maafi talab karein aur aainda ke liye koi mazboot aur karger hikmat e amli waza karein. Allah hum sub ko sirat e mustakeem per chalny ki taufiq ata karey. AMEEN
