Apnakarachi Submissions
Hum Pakistani Hain??
- Owner
- zarah
- Hits
- 104
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-05-05 08:40:55
Bohut afsos hota hai k hum apne ap ko Pakistani ka khatab to daitay hain magar Pakistani hone ka wada nahi nibhatay.Muharram k maheena ka kal pehla din tha aor pehle hi din khudkush hamla.ye maheena pakistanio aor muslims k liay aman ka paaighaam laata hai magar afsos ab pakistan bilkul bikhar chuka hai. awam main ittefaq khatam ho gia hai.log aik doosray k jani dushman bane howay han.Ya Allah hamaray mulk main salaamti aor amn-o-sakoon ki fiza paida farma aor tamam pakistanio k dil main aik doosray k liay muhaabat aor ittefaq ataa farma.(Amin)
