Apnakarachi Submissions
bhol bathay
- Owner
- asad_sami
- Hits
- 311
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-03-14 23:08:11
dil kay dard main bamushkil hansiko pirona parhta hay
tari chahat main kya nahi kiya hum nay janam!
ye soch kar kay kuch panay kay liya kuch khona parhta hay
muhabbatain pa kar hum samjhay kay mil gaya sab kuch
par is zindagi main nafraton ko bhi samona parhta hay
logon kay khowabon kay dhair par banay baray baray mehal
is sheesh mehal main phir bhi tang apna bichona parhta hay
sab kuch panay ki chah main bhool bathi lasani
kay ek din har roh ko jan say juda hona parhta hay

