Apnakarachi Submissions
Aaj
- Owner
- sultan27
- Hits
- 136
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-12-16 00:49:27
Ki ab chhorte ho humein iss kadar tum
Chiraag-e mohabbat ki tasweer de kar
Chale jo andhere mein muh mor kar tum.
Tumhe kya, humaari qadar kisne kii hai
Ki maine ye baarish toh aankhon se ki hai
Humein toh kassam di kii jaane na koi
Inayat toh kii, ab shikayat bhi ki hai.
Chalo ab toh chhoro, ki suraj hai maddham
Kii ab jo na gaye hum, woh poochhenge tumse
Ki chilman mein thaa jo, kya lagta tumhara
Kahogi toh kya aur kahogi toh kaise
Hai milna zaroori nahi ab humaaraa
Ki shav ke baahar rakhenge yeh dharkan
Na deewangi phir, Na yaadein tumhaari
Toh kya, hui gar jo thori si tarpan.

