Apnakarachi Submissions
yaad ata hai
- Owner
- spruce
- Hits
- 143
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-01-08 22:37:04
Yaad aata hai
Jo keh na sake woh fasana yaad aata hai
guzra hua dilkash zamana yaad aata hai
Jab husn se ishq takraya tha kabhi
ghayal hua tha ek parwana yaad aata hai
Dil se mohabbat ke toofan uthe the jab
aankhon ke khwaab sajana yaad aata hai
Kasturi jaise din mehekte the mere
raaton ka gungunana yaad aata hai
Aankhon ka mil kar jhuk jaana nahin bhoola
hontoon ka thartharana yaad aata hai
Mera usko kan akhiyon se dekhna baar baar
aur uska woh muskurana yaad aata hai
Raaton ko tanha yaad mein kisi ki...
dhuan udata ek deewana yaad aata hai

