Apnakarachi Submissions
hamarey naam karjana...
- Owner
- danecookie
- Hits
- 318
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-03-06 17:04:36
bohat toofan hain saahil hamarey naam karjana,
gurizaan zindagi sey ho yeh baazi haarey jaatey ho,
nikaaley woh maah-e-kamli hamarey naam karjana,
bohat chalen hain peron mein kara hai dard ka sehraa,
koi saya koi badal hamarey naam karjana,
chali hai jo rasm ussey honton pe mat laao,
koi maina koi bulbul hamarey naam karjana,
musaafir houn qamar thak k gira taarik rahon mein,
ujalon ki koi manzil hamarey naam karjana.
...........................................

