Apnakarachi Submissions
Palkon Pe Aanso'on Ko Sajaya Na Jaa Saka
- Owner
- sanuba
- Hits
- 146
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-03-14 14:51:11
Us Ko Bhi Dil Ka Haal Bataya Na Jaa Saka
Zakhmoon Se Choor Choor Tha Yeh Dil Mera
Aik Zakham Bhi Us Ko Dikhaya Na Jaa Saka
Jab Teri Yaad Aayi To Koshish Ke Ba-Wajood
Aankhon Main Aanso'on Ko Chupaya Na Jaa Saka
Kuch Log Zindagi Main Aise Bhi Aaye Hain
Jin Ko Kisi Bhi Lamhe Bhulaya Na Jaa Saka
Bas Is Khayaal Se Kahin Us Ko Dukh Na Ho
Hum Se To Haal-E-Ghum Bhi Sunaya Na Jaa Saka
Woh Muskura raha Tha Mere Ru-Ba-Ru Magr
Chehre Ka Rang Us Se Chupaya Na Jaa Saka
Tanhai-yyon Ki Aaagg Main Hum Jal Gaye
Magar Faaslaa Aaana Ka Mitaya Na Jaa Saka
ShoNu K Liyee

