Apnakarachi Submissions
YA DUA HAI MERI RAB SE
- Owner
- amir2281
- Hits
- 278
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-04-06 15:49:31
Har qadam tumhara manzil ki taraf uthayAakash kay sitaro ko choo lo tumKhushiyan har dam tumhari raha takayJugnuoo ki tarah jhilmilaoo tum
Kaash kay aisa ho jaye!
Kisi qadam par mehsoos na ho kami meriKisi maqam per mujh ko yaad na karo tumKhushiyo may aisay apni magan rahoKabhi mazi kay warq na palto tum
Magar yeh bhi yaad rakhna!
Agar kisi manzil per pahaunch kar koi dard mil jayeAankh tumhari jo kabhi pur nam ho jayeKabhi kisi apnay ki kami mehsoos karo to
To tum mujhay pukar laina
Aur agar yeh bhi na kar pao to!
Dil ko apnay simayt lainaAur bas yaad mujhay tum kar laina
Aankho kay duwaro ko band kar lainaMehsoos mujhay tum kar laina
Aur phir yun karna kay!
Saray raaz apnay dil kayTum mujh say keh lainaSaray dard apnay dil kayTum mujh say baant laina
Bas meri ek aakhri khuwaish yaad rakhna!
Jab meri hayat ka safar tamam honay lagayMeray qadam meri akhri manzil ki taraf rawan honay lagayMujhay lahayd tak lay janay walay chaar apnay kandho mayEk kanhdha tumhara bhi ho!..
