Apnakarachi Submissions
Bhalay Dinoun Ki Baat Hay - Long BUT Great
- Owner
- muddassarsaadi
- Hits
- 58
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-05-09 06:20:57
na yeh kay wo chalay to phirkehkashaan si rehguzar lagaymagar wo jab bhi saath hobhala bhala safar lagay
koi bhi rutt ho us ki chabfiza ka rang roop theewo garmioun ki chaoon theewo sardioun ki dhoop thee
naa muddatoun juda rahaynaa saath subh-o-shaam honaa rishta-e-wafa pay zidnaa yeh kay azn-e-aam ho
naa aisi khush libaasiankay saadgi gilaa karaynaa aisi baytakaluffikay aaina haya karay
naa ekhtilaat main wo ramkay badmaza ho khwahishainnaa iss qadar supurdagikay ziich karain nawazishain
naa aashqi janoon keekay zindagi aazab honaa is qadar khatoor pankay dosti kharab ho
kabhi to baat pay khafikabhi sakoot bhi sukhankabhi to kusht-e-zafraankabhi udaasioun ka ban
suna hay aik umar haymoamlaat-e-dil ki bhivisal-e-janfiza to kiafiraq-e-jangusal ki bhi
so aik roz kia houvavafa pay behas chaid gaeemain ishq ko amar kahounwo mairi zid pay chid (irritate) gaee
main ishq ka aseer thaawo ishq ko qafas kahaykay umar bhar kay saath kowo badtaraz hawas kahay
(now from the girl - in italics)
"shajar vajar naheen kay humhamaish paba-e-gil rahainnaa dhoor hain kay rasian (ropes)galay main mustakil rahain
mohabattoun ki wussattainhumaray dast-o-paa main hainbas aik dar say nisbatainsigan-e-bawafa main hain
main koi painting naheen kayhamaisha frame main rahounwohi jo man kaa meet housee kay praim main rahoun
tumhari soch jo bhi homain is mizaaj ki naheenmujhay wafa say bair hayyeh baat aaj ki naheen"
naa us ko mujh pay maan thaanaa mujh ko us pay zaam heejab ehad hi koi naa hoto kia gham-e-shikastagee
so apna apna rastaahansi khushi badal liaawo apni rah pay chal padimain apni rah pay chal dia
bhali si aik shakal theebhali si us ki dostiab uskee yaad raat dinnaheen, magar kabhi kabhi
By Ahmed Faraz
Enjoy Reading!!!Salman AhmedCell : 0300-2018916Email/MSN : write_to_salman@hotmail.comYahoo : write_to_salman

