Apnakarachi Submissions
Bhalay Dinoun Ki Baat Hay
- Owner
- muddassarsaadi
- Hits
- 91
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-05-12 01:14:44
bhali si aik shakal thee
naa yeh kay husn-e-taam ho
naa daikhnay main aam see
na yeh kay wo chalay to phir
kehkashaan si rehguzar lagay
magar wo jab bhi saath ho
bhala bhala safar lagay
koi bhi rutt ho us ki chab
fiza ka rang roop thee
wo garmioun ki chaoon thee
wo sardioun ki dhoop thee
naa muddatoun juda rahay
naa saath subh-o-shaam ho
naa rishta-e-wafa pay zid
naa yeh kay azn-e-aam ho
naa aisi khush libaasian
kay saadgi gilaa karay
naa aisi baytakaluffi
kay aaina haya karay
naa ekhtilaat main wo ram
kay badmaza ho khwahishain
naa iss qadar supurdagi
kay ziich karain nawazishain
naa aashqi janoon kee
kay zindagi aazab ho
naa is qadar khatoor pan
kay dosti kharab ho
kabhi to baat pay khafi
kabhi sakoot bhi sukhan
kabhi to kusht-e-zafraan
kabhi udaasioun ka ban
suna hay aik umar hay
moamlaat-e-dil ki bhi
visal-e-janfiza to kia
firaq-e-jangusal ki bhi
so aik roz kia houva
vafa pay behas chaid gaee
main ishq ko amar kahoun
wo mairi zid pay chid (irritate) gaee
main ishq ka aseer thaa
wo ishq ko qafas kahay
kay umar bhar kay saath ko
wo badtaraz hawas kahay
(now from the girl)
"shajar vajar naheen kay hum
hamaish paba-e-gil rahain
naa dhoor hain kay rasian (ropes)
galay main mustakil rahain
mohabattoun ki wussattain
humaray dast-o-paa main hain
bas aik dar say nisbatain
sigan-e-bawafa main hain
main koi painting naheen kay
hamaisha frame main rahoun
wohi jo man kaa meet ho
usee kay praim main rahoun
tumhari soch jo bhi ho
main is mizaaj ki naheen
mujhay wafa say bair hay
yeh baat aaj ki naheen"
naa us ko mujh pay maan thaa
naa mujh ko us pay zaam hee
jab ehad hi koi naa ho
to kia gham-e-shikastagee
so apna apna rastaa
hansi khushi badal liaa
wo apni rah pay chal padi
main apni rah pay chal dia
bhali si aik shakal thee
bhali si us ki dosti
ab uskee yaad raat din
naheen, magar kabhi kabhi
Enjoy Reading...!
Salman Ahmed
Email/MSN : write_to_salman@hotmail.com
Yahoo : write_to_salman

