Apnakarachi Submissions
Woh Dosty ANMOL Thi
- Owner
- desirican
- Hits
- 250
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-05-13 18:48:29
Gar yeh gumaan hota mujhay
K yeh mairy dosty
Aur mairy yeh hansi,
Teri udaasi torh kar,
Dunya ki rasmain tor kar,
Teri khushi ban jaaye gi,
Phir zindagi ban jaaye gi,
Tou yuun na main hansti kabhi,
Batain na phir karty kabhi,
Na dukh tujhay daity kabhi,
Par maira bhi kia dosh hai,
Yeh ishq hi faramosh hai,
Main tou samajhty thi tumhain,
Tuu maira pyaara dost hai,
Gar apni khushiaan aur ghum,
Main tujh say baanta karty thi,
Tum bhi tou apnay saaray ghum,
Aur apnay dill ki har khushi,
Aa kar mujh hi say kahtay thay,
Gar yeh gumaan hota mujhay,
Yeh dukh na phir hota tujhay,
Main bhi bary naadaan thi,
Itna bhi na samjhi kabhi,
K gar kabhi aisa hua,
Tum mairay is iklaas ko,
Iss dosty iss aas ko,
Chahat samajh baitho gay tum,
Lou aaj tum say pyaare dost,
Yeh iltija karty hoon main,
K mairy ghalaty maan kar,
Tum yeh samajh laina faqat,
K mairy yeh aik bhool thi,
Main raastay ki dhool thi,
Par itna main chahoon gi bass,
Tum yeh samajh laina magar??
K kho chukay ho tum jisay??..
Wo DOSTY Anmol thi.

