Apnakarachi Submissions
kabhi aah lab pe machal gayi
- Owner
- kashiff
- Hits
- 164
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-05-14 03:38:13
kabhi aah lab par machal gayi.. kabhi ashk aankh se dhal gaye.. wo tumhare ghum k chiragh hain.. kabhi bujh gaye kabhi jal gaye..
Main khayal-o-khuwab ki mahfilien.. na kabhi shouq se saja saka.. teri ek nazar k sath he.. mere sab irade badal gaye..
Kabhi rang main kabhi roop main.. kabhi chaon main kabhi dhoop main.. kabhi aftaab_e_nazar hain wo.. kabhi mahtaab main dhal gaye..
Jo fana hue ghum_e_ishq main.. unhein zindagi ka na ghum hua.. jo naa apni aag main jal sake.. wo parayi aag main jal gaye..
Tha unhein bhi meri tarah junun.. to phir un mein mujh main yeh farq kiya.. main giraft_e_ghum se na bach saka.. wo hudood_e_ghum se nikal gaye..

