Apnakarachi Submissions
HAL CHAL
- Owner
- ahmblack
- Hits
- 148
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-05-20 18:04:49
tum thukrao gay aik roz mujhay iska tu guman hi na tha
main nay mana tum say ziada is main ghalti mairi thi
tum nay bhi majbori koi apni zahir ki na thi
socha tha kuch ankahi si batain ankahi hi rahnay don
yay main kahongi han sach kahongi
mairi taraf kion nazr e karam farmaya krtay thay
mairi har bat ko tum kion hans kr saih jaya krtay thay
nazar na aaon tu kion sakon na paya kartay thay
main rooth jaon tu kion mujhay manaya kartay thay
par yay ankahi si batain kaisay ankahi say rahnay don
jo dil main josh bhara hay osay dil tak kaisay rahnay don
tum hi btaao jab sakoot e darya main koi kankar phainkta hay
tu lahrain tu ban jati hain
aur jab lahrain si ban jati hain sab kuch tabah ho jata hay
sab daikhnay waloon ko bas
halchal see dikhai daiti hay
aur kankar phainknay wala na sochta na samajhta hay
bas kankar phainkay jata hay
aram say ghar ko jata hay
aur khuabon main kho jata hay
par sakoot e darya main aik shor bapa kr jata hay
Self Composed
HUMA KHAN
khan7582@hotmail.com
