Apnakarachi Submissions
MERA MAZI......
- Owner
- ahmblack
- Hits
- 284
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-05-23 12:46:25
mera mazi bouhat tareek hai mai nay mana
mai nay mana k mouhabat hi jurm tha mera
mai nay chaha tha bus ek esay insa ko
jis nay tajdeeday mohabbat tu kai bar kia
pr mouhabbat ko nibhana usko nhi ata tha,
wo kehta tha jo ye pal hain yehi hmaray hai.
mai uski har bat pr ankh bnd keaye yaki karti gye,
usnay jo rasta dikhaya mai us pr chalti gye,
phir ek mour pr ruk kr ye kha usnay sunoo,,,
is say agay ka safar mujh ko gawara hi nhi,
tu chaloo rastay hum apnay apnay jatay hain,
tumhari simt hai wo or ye hmari hai,
bus mai nay tu us dam itna hi kha tha us say,
tumhay mai itna btadoo k sunoo jana,
mukhalif simt chalnay say tu manzil hi nhi milti.
ye sun k usnay mujhay dekha tha,
or muskuraya tha,uski hansi mai ek esa tanz tah Huma
jis mai meray har sawal ka jawab tha,
phir apnay hatoo say mera hath dheray say churaya us nay,
or chal para wo nay rastay nai manzil ki traf
Self Composed,
HUMA KHAN
khan7582@hotmail.com

