Apnakarachi Submissions
Woh aur Main
- Owner
- d_khatri
- Hits
- 134
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-05-28 12:10:47
Woh mohabbat ko prastish ka maqam daita tha Aur guzrey qisson ko ibadat ka darja samajhta tha Kehta tha mohabbat main koi gharz pausheeda naheen hotti mohabbat tu baigharz aur lafani hotti hai
Kuch ajeeb falsafa mohabbat main us ka tha kay Woh mairi mohabbat ka talib bhi tha Aur main ussay matloob bhi na thi Kehta tha key main us ki rooh main jazb hoon aisey Key mujh ko pannay ki us ko hasrat bhi naheen
Ajeeb shakhs tha kuch ajeeb si us ki kahani thi Yeh daur ab aisi mohabbaton ka naheen raha Millan key baghair mohabbaton ka kia tassawar haiDeed key baghair chahatoan ka kia rang hey Yeh daur tu faqt aghraz pey mabni hey
Meri mohabbat bhi sirf char din ki kahani thi Koi gaari aik hee station pey hamesha naheen rukti Waqt key sath khayalat badaltey jatey hain mohabbat baqqi rehti hey mehboob badaltey jatey hain
Main ney chaha key khayalat us key badal daloon aur mohabbat ki haqeeqi tasweer dikha doon us ko Woh mohabatt ka pujari tha main ney Us kau tanhai ki saza dey dalli !
Mujhey yaqeen hey woh sota to ho ga magar Neend us ki ankhon mein na utarti ho gee Mehfil main woh muskurata to ho ga magar Us tabassum men ik tees see uthti ho gee Ankh main aansoo to nazar na atey hoon gey Palkoon taley ik barish zarror hotti ho gee Meri yaad to us ki khoon ki gardish ke saath thi Dil dharakta to ho ga magar ik aah bhi nikalti ho gee
Kyun sochti hoon yeh sab kuch main Jo taaluq tha woh to main ney tor diya Woh zinda rahey na rahey mujh is sey kia Us ki saans rukey ya chaley mujhey kia laina Mere liye to faqt yehi kaafi hey key
Main aik dunia daar larki aur Wauh kissi dosri dunia ka bassi tha

