Apnakarachi Submissions
daikh liya
- Owner
- umair_humair
- Hits
- 427
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-08-16 13:26:50
khoon k ashkoon se dil ko rula k daikh liya
suna hai pyar k dukh bhi azeem hote hai
dukhoo ke chah main khud ko luta k daikh liya
diye jo zakhm humain teri judaai ne sada
har ek zakhm ko dil main chupa k daikh liya
woh mohabbat main meri roshni ko paa na saka
hum ne shama ke tarha dil ko jala k daikh liya
wafa ka naam bhi mojood nahi duniya main
hath har shakhs sai hum ne mila k daikh liya
woh na tha mere naseeb-o-muqadaar main zain
dua ko hath har baar utha k daikh liya...........

