Apnakarachi Submissions
Aankhain Bheeg jaty hain.
- Owner
- rashidshahzad
- Hits
- 266
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-08-18 00:16:38
samandar main utarta hoon to ankahain bheeg jaty hain
tery ankhoon ko parhta hoon to anhkain bheeg jaty hain
tery yadon ki khushbo khirkion main raqs karty hai
teray gham main sulagta hoon to ankhain bheeg jaty hain
najanay ho gaya hoon isqadar hassas main kab se
kisi se baat karata hoon to ankhain bheeg jaty hain
wo sub lamhat mujhko yaad atay hain
tumhare khat jo parhta hoon to ankhain bheeg jaty hain
main sara din bohat musroof rehta hoon
qadam chokhat par rakhta hoon to ankhain bheeg jaty hain
her ik muflis k mathay par alum ki dastanain hain
koi bhi chehra parhta hoon to ankhain bheeg jaty hain
baray logon k unchay budnuma or sard mehlon ko
ghareeb ankhon se tukta hoon to ankhain bheeg jaty hain
teray koochay se mera talooq wajibi sa hai
magar jub bhi guzarta hoon to ankhain bheeg jaty hain
hazaron mousamon ki hukmarani hai meray dil par
wasi main jub bhi hansta hoon to ankhain bheeg jati hain

