Apnakarachi Submissions
Ishq
- Owner
- romeorascal
- Hits
- 261
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-09-19 13:24:34
koi os ko tuj say juda karay
tery hont hansana bhool jain
tere ankh hamesha purnum rahay
tu os ki batein kia karay
tu os ki batein sunna karay
tu os ko daikh kar ruka karay
wo tujay daikh kar chala karay
tujay sahar ki wo charri lagay
tu milan ki her pal dua karay
tu tarpa karay os kay isaq main
ossay bhoolnay ki dua karay
tujay ishq ho phir yaqeen ho
tu os ki tusbeeh para karay
main kahoon ishq dhank hai,
tu nahi nahi kia karay...

