Apnakarachi Submissions
Wo Apney Ishq Main Kaisa Kamaal Rakhti Hai
- Owner
- sanuba
- Hits
- 276
- Rating
- 0.00
- Created
- 2006-10-17 01:57:03
Jo Aaj Meri Nahien Hai Wo Kal Meri Ho GiKey Har Zamaana Urooj-o-Zawaal Rakhti Hai
Ajab Nahi Wo Jahaan Bhar Ko Bewafa SamjheNazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhti Hai
Kahan Talak Koi Dast-e-Karam Ko Zehmat DeyTamaam Shaher Hi Dast-e-Sawaal Rakhti Hai
Meri Uraan Ke Aagey Hai Kis Qadar Bey-BasYee Aasmaan Jo Sitaaroon Ki Jaal Rakhti Hai
Tera Khayaal Hi Kuch Meherbaan Hai WarnaaJahaan Mein Koun Kisi Ka Khayaal Rakhti Hai
Woh Apnay Ishq May Kaisa Kamaal Rakhti HaiKe Be-Rukhi May Bhi , Mera Khayaal Rakhti Hai

