Apnakarachi Submissions
pyaar mujhase jo kiyaa tumane to kya paogi
- Owner
- baon
- Hits
- 246
- Rating
- 0.00
- Created
- 2007-04-02 12:29:31
ranj aur dard ki basti ka main bashinda hun ye to bas main huun ke is haal mein bhi zinda hun khvaab kyun dekhun vo kal jisape main sharminda hun main jo sharminda hua tum bhi to sharamaogi
kiun mere saath koi aur pareshaan rahe merii duniyaa hai jo viraan to viraan rahe zindagi ka ye safar tumko to asaan rahe hamasafar mujhao banaogi to pachataogi
ek main kya abhi aainge deevane kitane abhii gonjeygi muhabbat ke tarane kitane zindagi tumko sunayegi fasane kitane kiun samajhati ho mujhe bhul nahii paogi

