Apnakarachi Submissions
wardi uttar donga
- Owner
- saeedvu
- Hits
- 286
- Rating
- 0.00
- Created
- 2007-04-04 02:56:06
hallat behtar hotay hi main wardi utar donga
jamhoriat ko thora musthkam ho lanay do
assembly ko kuch dar aur chal lanay do
aur hkoomat ko apnay paoun par khara ho laney do
meri jan ye mera wada hai tum say
hallat bahtar hootay hi main wardi uttar doon ga
abhi to opposition ka shoor hay jari
hukmranon par yea waqat hay bhari
aur baurucracy par bhi hay saktta tarri
mari jan ya wada hai mera tum say
hallat bahtar hotay hi main wardi uttar doon ga
abhi pakistan ko zaroorat hai meri
mukhalif samhaj nahi rahey hain batt meri
abhi halat par grift mukamal nai mare
meri jan wada hai mera ye tum say
hallat bhater hottay hi main wardi uttar doon ga
abhi mukhalifon ko kuch uljhana hai
aur masala kashmir bhi suljhana hai
amrica say dad a thseen bhi pana hai
meri jan wada hai mera tum say
hallat behtar hottay hi main wardi uttar doonga
or bhi bohat si batain poori ho jain gi
or sub masalay hal hogain gay
gharibon kay charray par khushian aa jain gi
or mulk main kushali chaa jain gi
tub meri jan wada hay ye mera tum say
phir main appney marzi say ye wardi uttar doon ga

