Apnakarachi Submissions
Har Koi apnay Hi Aazar ka Aawaza kaay
- Owner
- subhakitalash
- Hits
- 87
- Rating
- 0.00
- Created
- 2007-04-12 18:23:28
Kon is habs mein dewaar ko darwaza karey
der tak hijr k barzakh mein na afsurda rakh
de koi zakh jo is dil ka janoon taza karey
baaz rishton ki bhi ek umr hua karti hai
kab talak koi taalluq ko taro-taaza karey
Laut jati hai masiha ki nazar sahil se
mujh mein doobey to merey dard ka andaza karey
laakh tarteeb mein laatey raho wehshat apni
ishq jub chahey dil-o-jaan ka sheraza karey
Yaar logon ne ganwa-di hai magar aankh saeed
Is chaka-chond mein zulmat ka jo andaza karey
Raheel Khan

