Apnakarachi Submissions
Pyaar Ka "Ehsaas"
- Owner
- wahidjogi
- Hits
- 216
- Rating
- 0.00
- Created
- 2007-04-16 14:51:34
Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadarHar pal har jagah nazar aane laga hai tu
Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehleKhushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu
Har pal mujhe hota hai bas tera hi "Ehsaas"Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon mainHoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu
Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaanKe ban saaya saath mere aane laga hai tu
Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN peBan ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu
Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar meraGhul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu
Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati haiMujh ko apna deewana banaane laga hai tu
Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujheyChorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu
Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi koBechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu
Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meriMere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu
Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teriMujh ko har adaa se ab satane laga hai tu
Zeest ke rahooN mein dhoop thi har tarafApney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu
Kya is baat ka tujhey "Ehsaas" hai "Jaan"Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tuEmail: naeem24us@hotmail.com

