Apnakarachi Submissions
Sab se chupa kar DARD... (BEST)
- Owner
- g_sania
- Hits
- 388
- Rating
- 0.00
- Created
- 2007-07-24 18:30:40
uski hansi ne tou aaj mujh ko rula diya,
lehjay se uth rahi thi har ik dard ki dastaan,
chehra bata raha tha k sab kuch ganwa diya,
AWAZ mein thehrao tha Ankhon mein nami thi,
aur keh raha tha k mein ne sab kuch Bhula diya,
janay kiya usko logon se theen shikayatain,
tanhaiyon k des mein khud ko basa diya,
KHUD BHI WOH HAM SE BICHAR K ADHOORA SA HOO GAYA.........
MUJH KO BHI ITNAY LOGON MEIN TANHA BANA DIYA....[:(]

