Apnakarachi Submissions
pather tha magr !!!!
- Owner
- sibtayz
- Hits
- 188
- Rating
- 0.00
- Created
- 2007-12-07 14:34:50
ek sakhs andheron me ujalon ki tarhan tha,
khowabon ki tarhan tha na khayalon ki tarhan tha,
wo ilme riazi ke sawalon ki tarhan tha,
uljha hoa aisa ke kabhi khul hi na paya ,
suljha hoa aisa ke misalon ki tarhan tha,
wo mil gaya humko ye,per apna hai mukkaddar
shatranj ki wo uljhi hoi chalon ki tarhan tha,
wo jism me khushbo ki tarhan hogaya tehleel,
jo door buhat chand ke haloon ki tarhan..............

