Apnakarachi Submissions
ho rat akeli
- Owner
- sam_cool
- Hits
- 228
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-01-04 16:59:31
chand gagan main aa jai,
tum chand ki manind tanha ho
yeh bat tumhain tarpa jai,
kuch khawab saja kr palkon pe
tum chand se baatain kar lena,
hum yaad tumhain to kartay hain
tum yaad humain bhi kar lena,
kuch baat na ho jab aisay hi
num aankh tumhari ho jai,
tum baat kahin par kartay ho
dil aur kahin par kho jai,
jazbaat k aisay aalam main
muskan labon par bhar lena,
hum yaad tumhian to kartay hain
tum yaad humain bhi kar lena

