Apnakarachi Submissions
na biknay ka irada ho tu keemat aur bahrti hai
- Owner
- usmanraja
- Hits
- 383
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-01-05 11:44:01
Koi jab rasta roke to himmat aur badhti hai !
Meri kamzoriyon par jab koi tankeed karta hai,
wo dusman kyon na ho usse muhabbat aur badhti hai !
Zaroorat me azizon ke agar kuch kaam aajao,
Rakam bhi doob jati hai adawat aur badhati hai !
Tera masoom as chehra chhupalun aankhon me,
Nazar mujhko na tu aaye to dhadkan aur badhti hai !
Agar bikane pe a jao to ghat jate hain daam aksar,
Na bikane ka irada ho to keemat aur badhti hai !

