Apnakarachi Submissions
ishq aatish
- Owner
- orisha_nla
- Hits
- 166
- Votes
- 1
- Rating
- 4.00
- Created
- 2008-04-10 21:31:06
dekho ye gham kam na ho
ye aatish ishq ki atish hey
dekho aanch madham na ho
hum ne ratein jagi hein
aankhon main din bitaya hey
lahoo se seencha he is ko
khoon e jigar tapkaya hey
ye jalti bujhti shamma hi
apna kul sarmaya hey
Jan ki bazi haar di hum ne
dekho ye gham kam na ho
ye aatish ishq ki atish hey
dekho aanch madham na ho
kya tera aur kia mera
sab apna paraya chhoot gaya
ik ehed jafa ki yaad raha
ik bharam wafa ka toot gaya
jis ko apna samjha tha
janey wo kyun rooth gaya
Jan ki bazi haar di hum ne
dekho ye gham kam na ho
ye aatish ishq ki atish hey
dekho aanch madham na ho
kuch na chaha kuch na maanga
mujh ko tera naam bohat tha
jewan ki tpti rahon per
mout ka ik peghaam buhat tha
wasl ka sukh to apni jagah
yaan hijr main bhi aaraam buhat tha
Jan ki bazi haar di hum ne
dekho ye gham kam na ho
ye aatish ishq ki atish hey
dekho aanch madham na ho
bas buhat so chokey
ab aaker humhein jagao logo
jo chaand nagar ka basi hey
kuch us ka haal batao logo
jal ker rakh hoye jis main
is aag ko youn na bujhao logo
ye aatish ishq ki atish hey
dekho aanch madham na ho
Jan ki bazi haar di hum ne
dekho ye gham kam na ho

