Apnakarachi Submissions
KAASH WOH MERA HAMSAFAR HOTA
- Owner
- Sana.Khan
- Hits
- 130
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-05-03 16:41:36
apni palkoon pai bitha k rakhta usay
bicha k dil apna uski rahoon mai
har ek kaante say bacha laita usay
chupa laita usay duniya ki nazroon say
zamanay bhar ki khushiyan daita usay
itna toot k pyar karta usay
gar Kismat dhoka na deti mujhay
magar jaanta hoon itna mai
pyar woh bay panha karti mujhay
naam likh kar mera apni hatheli pai
chupkay chupkay say parha karti hai
meri tasveer apnay hathoon mai lai kar
khud say batein kia karti hai
khuda say meray pass anay ki
subha shaam faryad karti hai
yaad karti hai jab bhi woh mujh ko to
aankhein meri num hojaya karti hain
mere dil ki dharkanein bhi,
yehi fariyad kia karti hain
k kaash mai us ka humsafar hota ..

