Apnakarachi Submissions
Main na mil sakun jo tumse New!
- Owner
- mughals
- Hits
- 63
- Votes
- 1
- Rating
- 4.00
- Created
- 2008-05-11 13:11:52
Tumhain meri hi qasam hai, meri aarzoo na karna
Mujhay jis say hai muhabat usey hai ajab ye aadat
Kabhi munh ko phair leina, kabhi guftagoo na karna
Maine chaha tha kisi ko, mera haal kya hai deikho
Jo kiya qusoor mainay wohi tum kabhi na karna
Meri ho agar burai to na deina tum safai
Meray saath khud ko ruswa kabhi ku-ba-ku na karna
Koi poochay badnaseebi ki hai inteha bhi koi?
To meiri misaal daina tum mujhay namoo na karna
Main na mil sakoon jo tum say meri justujoo na karna
Tumhain meiri hi qasam hai, meri aarzoo na karna
