Apnakarachi Submissions
Raaz ki baatain likhi
- Owner
- djsayz
- Hits
- 160
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-05-22 00:10:22
Jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya !
Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan ik faasla rehnay diya !
Apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya !
Main samjhta tha khushi degi mujhay `Asim' fareb,
Isliyey mainay gamon say raabta rehnay diya !
Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya !

