Apnakarachi Submissions
Udasi tum usay kehna
- Owner
- djsayz
- Hits
- 140
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-05-22 00:12:15
qafas kay khulay darwazoon main
be jaan ankhain
uski rah takti hain
qadam poshi ki umeed say
asmaan ki janib takti hain
udasi tum usay kehna
ham khud usay milnay aatay magar
maqtil khun say rangeen mosamoon main qaid hay
aur ham qataar andar qataar usay mausamoon main giray main
janay kab bulawa ho
kay ruh main ab bhi wahshatoon ka raqs jari hai
jo bazi bisat-e-jaan par khaili thi
dil nay abhi jeeti hai na haari hai
udasi usay kehna milnay chala aay
kay ab ki baar shaid

