Apnakarachi Submissions
woh khwaab tha
- Owner
- asimurooj
- Hits
- 37
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-05-22 14:32:50
magar ai dil ko kyaa huaa kyon bujh gayaa pataa nahien
har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaaN
kisii se kyaa bichhaD gaye ki jaise kuchh bachaa nahien
vo saath thaa to manzilein nazar nazar chiraaG thien
qadam qadam safar men ab koii bhii lab duaa nahien
ham apane is mizaaj mein kahiin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahiin kisii se dil milaa nahien
hai shor-saa taraf taraf ki sarhadon kii jang men
zamien pe aadamii nahiin falak pe kyaa Khudaa nahien?

