Apnakarachi Submissions
Dharkan mein Samate hain Quran-o-Abu-Talib
- Owner
- alirizvi
- Hits
- 45
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-05-26 09:05:18
dharkan mein samate hain quran-o-abu-talib
lafzon ki taharat se lehje ki sadaqat se
izhan banate hain quran-o-abu-talib
kuch farq nahi milta lehje ki balagat mein
jab naat sunate hain quran-o-abu-talib
sheh maah ka asghar bhi haider nazar aata hai
manzar woh dekhate hain quran-o-abu-talib
sajde mein kabhi gir ker naize pe kabhi charh ker
quran sunate hain quran-o-abu-talib
auraq ki,percham ki thori si hawa de ker
murdon ko jilate hain quran-o-abu-talib

