Apnakarachi Submissions
Aaoo Nazmain Likhain
- Owner
- Sana.Khan
- Hits
- 30
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-05-28 09:49:42
Khoon Ki Maanind Surkh Tar-O-Tazah
Ghantiyon Ki Tarhan Khanakti Howi
Nazmain
Jo Logon Ko Jaghain
Jin Ka Mo'ozo
Zindagi Ho, Mout Nahin
Umeed Ho, Mayosi Nahin
Subh Ho, Shaam Nahin
Taazgi Ho, Paz-Mardgi Nahin
Jad-O-Jehad Ho, Hazeemat Nahin
Shair...!!!
Logon Ko Yaqeen Dilaon
K Khaab Bhi Haqeeqat Ban Saktay Hain
Aazaadi Ki Baat Karo
Aur Dhonwaan Ko
Is Mo'atar Khaloot Khanay Ki Dewaaron Par
Fun Paray Sajanay Do
Aazaadi Ki Baat Karo
Aur Logon Ki Aankhon Ko Cho Kar
Unhain Ehsaas Dilwao
K Un Main Beshumar Honay Ki Quwat Mojud Hai
Woh Quwat
Jo Qaid Khanoon Ki Salakhon Ko
Ghaas Ki Baliyon Ki Tarhan Maroor Deti Hain
Jo Sang Kharoon Ki Dewaroon Ko
Kaanch Ki Tarhan Reza Reza Kar Deti Hain
Shair...!!!
In Logon Ko Dhondho
Jo Qafloon K Dahanay Khool Detey Hain
Is Say Pehlay
K Aanay Walay Das Barsoon Ko
Ghuzray Howay Das Baras Kha Jayein

