Apnakarachi Submissions
TAQAZA
- Owner
- insecurestar
- Hits
- 85
- Votes
- 2
- Rating
- 5.00
- Created
- 2008-06-04 13:21:18
kam to pehle b nahi or to ruswa na karo
kabhi jugnu kabhi taare kabhi nargis keh kar
tum meri aankhon ko iss tarha to chhera na karo
bhanp jae na kahin dil ki laggi, yeh dunia
yun shafaq ban k mere chehre pe thehra na karo
baat chhoti si b afsana bana deti hai!!!!!!
tum kitabon pe mere naam ko likkha na karo
hai ibaadat ki tarha naam tumhara b mujhe
tum saheefe ki tarha zehn main utra na karo
dil ko bechen sa karti hain tumhari aankhen
raat ko der talak tum mujhe socha na akro
saamne sab k kare kis tarha iqraar Batool!!
yun sar-e-bazm to uss se yeh taqaza na karo

