Apnakarachi Submissions
Abhi abhi mere dil main khayal aya
- Owner
- mughals
- Hits
- 92
- Votes
- 1
- Rating
- 4.00
- Created
- 2008-06-09 20:50:00
kisi ke saath sahi vo nazar to aayaa hai
karun shikayaten taktaa rahun ke pyaar karun
gayi bahaar ki surat vo laut aayaa hai
vo saamane tha magar ye yaqeen na aata tha
vo aap hai ke meri khwahishon ka saayaa hai
azaab dhoop ke kaise hain, baarishen kya hain
faseel-e-jism giri jab to hosh aayaa hai
main kya karunga agar vo na mil sakaa mujhko
abhii abhii mere dil main khayaal aayaa hai

