Apnakarachi Submissions
vo to Khushbuu hai havaaon mein bikhar jaayegaa
- Owner
- wildgease
- Hits
- 59
- Votes
- 1
- Rating
- 5.00
- Created
- 2008-06-20 19:14:41
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa
ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaaN mein utar jaayegaa
vo havaaon kii tarah Khaanaa_bajaaN phirataa hai
ek jhonkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa
vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aaNgan men Thahar jaayegaa
aaKhirash vo bhii kahiin ret pe baiThii hogii
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa
