Apnakarachi Submissions
yuuN na mil mujh se Khafaa ho jaise
- Owner
- wildgease
- Hits
- 58
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-06-20 19:19:54
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuuN dekh kar haNs dete hain
tuu mujhe bhuul gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii had tak na barhaa
yuuN na mil hamase Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to is naaz ke saath
mujhpe ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baiThe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichakiyaaN raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii biit rahii hai "daanish"
ek bejurm sazaa ho jaise
