Apnakarachi Submissions
Na kisi ki ankh ka noor hon na kisi k dil ka karar hon
- Owner
- Doctor
- Hits
- 174
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-06-28 09:16:10
Ju kisi k kaam na a sakay main wo aik masht-i-ghubaar hon
Mera rang-o-roop begar gia mera yar mujh sy bechar gia
Ju chaman khizaan sy ujar gia mein main oski fasal-e-bahaar hon
Na tu main kisi ka habib hon na main kisi ka raqeeb hon
Ju begar gia wo naseeb hon ju ujar gia wo diyar hon
Pay fatiha kui aey q kui chaar phool charhay q
Kui a k shama jalay q main beqasi ka wo mazaar hon
Main nahi hon naghma janfaza mujhay sun k kui karay ga kia
Main baray rog ki hon sada main baray dukhui ki pukaar hon

