Apnakarachi Submissions
jab uhi bathey bathey
- Owner
- asimurooj
- Hits
- 96
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-07-11 13:36:46
kuch yaad achanak aa jaey
har baat pe dil bezaar sa ho
har cheez se dil ghabra jaey
karna tu mujhay kuch aur he ho
kuch aur he mujh se ho jaey
kuch aur he sochon main dil main
kuch aur he honton pe aaey
aisay he kise ek lamhay main
koe phool achanak khil jaey
kuch betay lamhay yaad aaen
us wqt teri yaad aati hai.............
jub chaandni ghar k aangan main
kuch kehnay mujh se aa jaey
ek khawabeda se choti khawahish
ehsaas pe meray chaa jaey
jub zulf pareshan cheray par
kuch aur pareshan ho jaey
ek dard sa dil main honay lagay
aur saans bhe boujhal ho jaey
aisay he kise ek lamhay main
chupkay se,kabhi khamoushi se
kuch phool achanak khil jaen
jub shaam dhalay chaltay chaltay
manzil ka na koe naam milay
hanstay hoey har ek manzar ko
rota hoa koe anjaam milay
palkon pe laraztay ashkon se
es dil ko koe peghaam milay
aur sari wafaoun k badlay
hum ko he koe ilzaam milay
aisay he kise ek lamhay main
chupkay se, kabhi khamoushi se
kuch phool achanak khil jaen
kuch betay lamhay yaad aaen
us wqt teri yaad aati hai
shiddat se teri yaad aati hai..........
