Apnakarachi Submissions
Dua
- Owner
- asimurooj
- Hits
- 112
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-07-14 15:16:20
bichar k bhi ik dusray ka khayal hoga ye teh hua tha...
wohi hua na badaltay mosam mai tum ne humko bhula diya hai
koi b rut ho na chahaton ko zawal ho ga ye teh hua tha..
ye kya k sansein ukher rahi hain safar k aagaz hi mai yaro
koi b thak ker na rastay mai nidhaal hoga ye teh hua tha...
bicher gaye hain to kya hua k yehi to dastoor e zindagi hai
judaiyon mai na qurbation ka malal ho ga ye teh hua tha...
chalo k faizan kashtiyon ko jala den gumnaam sahilon pe
k ab yahan se na wapsi ka sawal ho ga ye teh hua tha..
mohabbaton mai her ik lamha visal ho ga ye teh hua tha
bichar k bhi ik dusray ka khayal hoga ye teh hua tha...

