Apnakarachi Submissions
Mere Ansuoon Pe Nazar Na Kar Mera Shikwa Sun Ke Khafa Na Ho
- Owner
- Sana.Khan
- Hits
- 113
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-07-23 11:54:02
use zindgi ka bhi haq nahi jise dard-e-ishq mila na ho
ye inayatain ye nawazishain mere dard-e-dil ki dawa nahi
mujhe us nazar ki talash hai jo ada shanas-e-wafa na ho
tujhe kya bataon mai beKhabar ki hai dard-e-ishq main kya asar
ye hai wo latif si kaifiyat jo zuban tak aye ada na ho
ye sharab rez-e-hasi ghata jo hai "Kaif" nazish-e-maykada
kisi tashna-kam ki arzoo kisi tashna-lab ki dua na ho

